KHuda Nasib Kare Jis Ko Sohbaten Meri

KHuda nasib kare jis ko sohbaten meri

na bhul pae kabhi wo hikayaten meri

kahan gae meri masruf saaton ke rafiq

sadaen deti hain ab un ko fursaten meri

tamam shahr gurezan hai aaj kal jaise

kisi ke nam na lag jaen tohmaten meri

KHuda ka shukr ki main KHud-shanas hun warna

samajhta kaun pur-asrar aadaten meri

main apni zat ke sahra mein kho gaya 'kausar'

meri nazar se bhi ojhal hain wusaten meri

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Nasib Kare Jis Ko Sohbaten Meri In English By Famous Poet Kausar Niyazi. KHuda Nasib Kare Jis Ko Sohbaten Meri is written by Kausar Niyazi. Read famous Poem KHuda Nasib Kare Jis Ko Sohbaten Meri for youth and Student by Kausar Niyazi. Free Download KHuda Nasib Kare Jis Ko Sohbaten Meri in PDF.