KHayal-e-tark Ulfat Ham-nashino Aa Hi Jata Hai

KHayal-e-tark-e-ulfat ham-nashino aa hi jata hai

wafur-e-be-dili mein aadmi ghabra hi jata hai

tabahi ki ghaDi shayad zamane par nahin aai

abhi apne kiye par aadmi sharma hi jata hai

nigah-e-dost ke aage sipar lana hai la-hasil

ye tir-e-nim-kash qalb o jigar barma hi jata hai

nazar aata nahin jis ko hujum-e-shauq mein kuchh bhi

fareb-e-rahnuma aksar wo rah-rau kha hi jata hai

nahin narmak-KHirami karwan ki be-sabab 'kausar'

KHamoshi se jo uThta hai wo baadal chha hi jata hai

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal-e-tark Ulfat Ham-nashino Aa Hi Jata Hai In English By Famous Poet Kausar Niyazi. KHayal-e-tark Ulfat Ham-nashino Aa Hi Jata Hai is written by Kausar Niyazi. Read famous Poem KHayal-e-tark Ulfat Ham-nashino Aa Hi Jata Hai for youth and Student by Kausar Niyazi. Free Download KHayal-e-tark Ulfat Ham-nashino Aa Hi Jata Hai in PDF.