Az-sar-e-nau Fikr Ka Aaghaz Karna Chahiye

az-sar-e-nau fikr ka aaghaz karna chahiye

be-par-o-baal sahi parwaz karna chahiye

sath par rahte hain un ko Dubna aata nahin

kyun na in tinkon ko sar-afraaz karna chahiye

qurb mein duri bahut hai bod mein qurbat bahut

har tawalat ko ata ijaz karna chahiye

dil bana taus andeshe bane zagh o zaghan

zehn ko ham-paya-e-shahbaz karna chahiye

har ada mashuq ki banti hai paiman-e-wafa

laghzish-e-pa ko nazar-andaz karna chahiye

sher ki taKHliq 'kawish' fel-e-jinsi to nahin

manawi aulad par hi naz karna chahiye

(944) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Az-sar-e-nau Fikr Ka Aaghaz Karna Chahiye In English By Famous Poet Kavish Badri. Az-sar-e-nau Fikr Ka Aaghaz Karna Chahiye is written by Kavish Badri. Read famous Poem Az-sar-e-nau Fikr Ka Aaghaz Karna Chahiye for youth and Student by Kavish Badri. Free Download Az-sar-e-nau Fikr Ka Aaghaz Karna Chahiye in PDF.