Dast-e-kohsar Se Phisla Hua Patthar Hun Main

dast-e-kohsar se phisla hua patthar hun main

sar-ba-sar sang-tarashon ka muqaddar hun main

ghunT lamhat ki pi pi ke dhula jata hun

an-ginat waqt ke dhaaron ka shanawar hun main

kya Dubo deta hun main dil ke kuen mein KHud ko

chashm-e-be-nur mein yusuf ka baradar hun main

kirchiyan zehn mein paiwast hain palkon ki tarah

chashm-e-ayyam se chhuTa hua saghar hun main

oDh leti hai mujhe sard faza ki dewi

karb ki dhup mein tapti hui chadar hun main

meri aawaz ko aawaz ne taqsim kiya

radio mein hun telephone ke andar hun main

nae mahaul se manus nahin hun ab tak

nanhe bachche ki tarah KHol ke andar hun main

chand ashaar mile type-shuda daftar mein

type-writer pe biThaya hua bandar hun main

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dast-e-kohsar Se Phisla Hua Patthar Hun Main In English By Famous Poet Kavish Badri. Dast-e-kohsar Se Phisla Hua Patthar Hun Main is written by Kavish Badri. Read famous Poem Dast-e-kohsar Se Phisla Hua Patthar Hun Main for youth and Student by Kavish Badri. Free Download Dast-e-kohsar Se Phisla Hua Patthar Hun Main in PDF.