Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_306381dc595472e9f4fbfd0ed8812a87, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dost Jitne Bhi The Mazar Mein Hain - Kavish Badri Poetry In English - Darsaal

Dost Jitne Bhi The Mazar Mein Hain

dost jitne bhi the mazar mein hain

ghaaliban mere intizar mein hain

wo na hote mera wajud na tha

main na hota wo kis shumar mein hain

shaKH-e-idrak mein jo kanTe hain

phul banne ke intizar mein hain

kya sabab hai ki ek mausam mein

kuchh KHizan mein hain kuchh bahaar mein hain

ek shair bana KHuda-e-suKHan

jo rasul-e-suKHan the ghaar mein hain

KHar samjho na tum unhen hargiz

sanp ke dant gul ke haar mein hain

shimr-o-firaun kab hue marhum

un ke ausaf rishte-dar mein hain

sab ke sab kawish-e-farishta-KHisal

aib jitne hain KHaksar mein hain

(1057) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dost Jitne Bhi The Mazar Mein Hain In English By Famous Poet Kavish Badri. Dost Jitne Bhi The Mazar Mein Hain is written by Kavish Badri. Read famous Poem Dost Jitne Bhi The Mazar Mein Hain for youth and Student by Kavish Badri. Free Download Dost Jitne Bhi The Mazar Mein Hain in PDF.