Ghar Mein Hun Go Hunut-shuda Lash Ki Tarah

ghar mein hun go hunut-shuda lash ki tarah

phirti hai ruh shahr mein obash ki tarah

bazicha-e-faraina-e-misr dekhna

hum aahani giraft mein hain tash ki tarah

ye jaan-e-na-tawan bhi hai kya samra-e-hayat

rakh di gai hai kaT ke ek qash ki tarah

sukh ki zamin basit nahin hai to kya hua

dukh to mera wishaal hai aakash ki tarah

shayad mera wajud hi pasmanda KHak ho

KHali hai bazm-e-yar mein qallash ki tarah

khinchta chala hun main kisi patal ki taraf

har anjuman hai markaz-e-purKHash ki tarah

sau bar masKH ho ke bhi tamir-e-zindagi

pur-nur hai manara-e-zau-pash ki tarah

baqi hai hum se daman-e-roz-e-jaza ki laj

go zindagi ata hui padash ki tarah

(704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Mein Hun Go Hunut-shuda Lash Ki Tarah In English By Famous Poet Kavish Badri. Ghar Mein Hun Go Hunut-shuda Lash Ki Tarah is written by Kavish Badri. Read famous Poem Ghar Mein Hun Go Hunut-shuda Lash Ki Tarah for youth and Student by Kavish Badri. Free Download Ghar Mein Hun Go Hunut-shuda Lash Ki Tarah in PDF.