Ek Sajda KHush-gulu Ke Aage Sahwan Ho Gaya

ek sajda KHush-gulu ke aage sahwan ho gaya

us pe koi mo'tariz hoga to qasdan ho gaya

kufr ka fatwa hua sadir to KHush-qismat tha main

tazkira mera bhi har masjid mein zimnan ho gaya

aanan-fanan mein kisi ne dast-giri ki meri

kaam tha mushkil ka ahlan aur sahlan ho gaya

tauan-o-karhan baDhate hain mulaqaton ko hath

sab se yarana mera mauquf qatan ho gaya

KHwab hi is bar dekha tha kabhi main ne jise

du-badu us se tasadum ittifaqan ho gaya

mustahiq jannat ka ek 'kawish' nahin wo bhi to hai

qatl mera ek jahil se jo sharan ho gaya

(670) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Sajda KHush-gulu Ke Aage Sahwan Ho Gaya In English By Famous Poet Kavish Badri. Ek Sajda KHush-gulu Ke Aage Sahwan Ho Gaya is written by Kavish Badri. Read famous Poem Ek Sajda KHush-gulu Ke Aage Sahwan Ho Gaya for youth and Student by Kavish Badri. Free Download Ek Sajda KHush-gulu Ke Aage Sahwan Ho Gaya in PDF.