Zamin Ke Hath Mein Hun Aur Na Aasman Ke Hi

zamin ke hath mein hun aur na aasman ke hi

paDa hua hun main aisi jagah pe jaan ke hi

na hum se kahte hain kuchh aur na hum se sunte hain

ye aadmi hain kisi dusre jahan ke hi

tere jahan ke jhagDon mein hath kyun Dalon

mujhe bahut hain bakheDe mere makan ke hi

suna rahi hai jise joD joD kar duniya

tamam TukDe hain wo meri dastan ke hi

tere falak pe hai kya aur bhi koi raushan

chamak rahe hain sitare to KHak-dan ke hi

hamein jo man rahe hain zaban se bhi apni

is intiha pe wo aae hain dil se man ke hi

kisi se koi nahin baz-purs duniya mein

zamana pichhe paDa hai hamari jaan ke hi

to kya tujhe bhi koi aur kaam baqi nahin

jo hum pe rahne lage din ye imtihan ke hi

magar ye qatl ki sazish kahan se aa nikli

wo KHat wo log to the mere KHandan ke hi

so band karna paDa mujh ko karobar-e-hayat

wo aa ke baiTh gaya samne dukan ke hi

(956) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Ke Hath Mein Hun Aur Na Aasman Ke Hi In English By Famous Poet Khaavar Ejaz. Zamin Ke Hath Mein Hun Aur Na Aasman Ke Hi is written by Khaavar Ejaz. Read famous Poem Zamin Ke Hath Mein Hun Aur Na Aasman Ke Hi for youth and Student by Khaavar Ejaz. Free Download Zamin Ke Hath Mein Hun Aur Na Aasman Ke Hi in PDF.