Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi

ata ke zor-e-asar se bhi TuT sakti thi

wo shaKH bar-e-samar se bhi TuT sakti thi

main dil mein sach ki numu se tha KHauf khaya hua

ki sip tab-e-gohr se bhi TuT sakti thi

usi pe tha mere har ek tir ka takiya

kaman jo khinch ke Dar se bhi TuT sakti thi

paDi thi aah ko hi KHud-numai ki warna

KHamoshi dida-e-tar se bhi TuT sakti thi

juDe hue the bahut waswase KHayalon se

so nind KHwab ke shar se bhi TuT sakti thi

dilon ki shishagari kar-gah-e-hasti mein

hunar ke zer o zabar se bhi TuT sakti thi

ye aab wo tha ki aatish bhaDak na pane ki

riwayat ek sharar se bhi TuT sakti thi

main ek aisa kinara tha jis ki qurbat ko

wo lahar apne bhanwar se bhi TuT sakti thi

har ek lashkari itra raha tha jis pe wo tegh

KHayal-ha-e-zarar se bhi TuT sakti thi

zamin na hoti agar is kamal ki hamil

qayamat aasman par se bhi TuT sakti thi

tu KHush-nasib tha warna teri ana ki fasil

Kamala-e-sirf-e-nazar se bhi TuT sakti thi

(686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi In English By Famous Poet Khaavar Jilani. Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi is written by Khaavar Jilani. Read famous Poem Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi for youth and Student by Khaavar Jilani. Free Download Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi in PDF.