Behtar Ki Gunjaish Baqi Rah Jati Hai
behtar ki gunjaish baqi rah jati hai
kami kahin poshida koi rah jati hai
man-chahi taswir banane mein mujh se
hunar-wari mein kuchh kotahi rah jati hai
sailab aa jaane par us basti ki
sari puKHta-kari kachchi rah jati hai
banne wali baat wahi hoti hai wo jo
bante bante yaksar banti rah jati hai
rah jati hai aate aate aati saat
honi hote hote hoti rah jati hai
waqt guzar jata hai lekin dil ki ranjish
dil mein baiThi ki baiThi hi rah jati hai
chalte rah jate hain roz o shab ke dhande
ganga ulTi sidhi bahti rah jati hai
phank liye jaane ko KHak masafat ki
rahon par hi chhani-phaTki rah jati hai
aa jati hai birha aur dulhniyan chhat par
apne gile baal sukhati rah jati hai
(780) Peoples Rate This