KHayal-o-KHwab Mein Diwar-o-dar Bhi Sath Rakkho

KHayal-o-KHwab mein diwar-o-dar bhi sath rakkho

musafirat mein raho aur ghar bhi sath rakho

ajab nahin ki shahadat talab kare manzil

karo paDaw to gard-e-safar bhi sath rakho

zar-o-guhar se bhi banti hain qamaten lekin

koi saliqa-e-arz-e-hunar bhi sath rakho

hum aise log pas-e-guftugu bhi jaante hain

hamein milo to KHulus-e-nazar bhi sath rakho

kuchh is liye bhi wo sailab bhej deta hai

ki bastiyon mein raho aur khanDar bhi sath rakho

kaDi hai dhup to KHwabon mein hi sahi 'razmi'

hari ruton ke ghanere shajar bhi sath rakho

(366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal-o-KHwab Mein Diwar-o-dar Bhi Sath Rakkho In English By Famous Poet Khadim Razmi. KHayal-o-KHwab Mein Diwar-o-dar Bhi Sath Rakkho is written by Khadim Razmi. Read famous Poem KHayal-o-KHwab Mein Diwar-o-dar Bhi Sath Rakkho for youth and Student by Khadim Razmi. Free Download KHayal-o-KHwab Mein Diwar-o-dar Bhi Sath Rakkho in PDF.