Tufan Hi Nahin Ghat Mein Hon Jis Ke Bhanwar Bhi

tufan hi nahin ghat mein hon jis ke bhanwar bhi

milte hain usi gahre samundar se guhar bhi

sahta hai jo ek habs-e-musalsal ki girani

hota hai usi shahr se aandhi ka guzar bhi

yun pyar hai us se ki faqat main hi nahin hun

miTTi se bane hain mere diwar bhi dar bhi

gur dip jila kar use aagah na karta

mahfuz tha har shab ki hawa se mera ghar bhi

aankhon se magar raat ka patthar nahin haTta

tabir to rakhta hai mera KHwab-e-sahar bhi

julte hain kaDi dhup mein kyun apne hi aangan

suraj to yahi hai jo ubharta hai udhar bhi

nisbat hai hamein aise qabile se ki jis ke

nezon pe sada dete hain be jism ke sar bhi

kuchh soch ke wo bab-e-qafas khol raha hai

kal tak thi giran jis pe meri jumbish-e-par bhi

hum log faqat dasht-nawardi nahin karte

aata hai hamein shahr basane ka hunar bhi

(406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tufan Hi Nahin Ghat Mein Hon Jis Ke Bhanwar Bhi In English By Famous Poet Khadim Razmi. Tufan Hi Nahin Ghat Mein Hon Jis Ke Bhanwar Bhi is written by Khadim Razmi. Read famous Poem Tufan Hi Nahin Ghat Mein Hon Jis Ke Bhanwar Bhi for youth and Student by Khadim Razmi. Free Download Tufan Hi Nahin Ghat Mein Hon Jis Ke Bhanwar Bhi in PDF.