Bula Raha Hai Mujhe Aasman Tumhaari Taraf

bula raha hai mujhe aasman tumhaari taraf

jala ke nikla hun sab aashiyan tumhaari taraf

main jaanta hun ki sare jahan hain KHatm yahan

mujhe milega na koi jahan tumhaari taraf

KHamoshiyon ka bas ek silsila hai dur talak

na koi lafz na koi zaban tumhaari taraf

har ek jita hai wusat mein kaenaton ke

koi banata nahin hai makan tumhaari taraf

mare houn ko koi mare kis tarah aaKHir

na koi tir na koi sinan tumhaari taraf

na koi dariya na parbat na aashiyan na shajar

zamin hai koi na hi aasman tumhaari taraf

zuhur-e-ishq ki duniya ko chhoD aaya hun

main KHud ko karta hun sab se nihan tumhaari taraf

main manzilon se bahut dur aa gaya 'mamun'

safar ne kho diye sare nishan tumhaari taraf

(383) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bula Raha Hai Mujhe Aasman Tumhaari Taraf In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Bula Raha Hai Mujhe Aasman Tumhaari Taraf is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Bula Raha Hai Mujhe Aasman Tumhaari Taraf for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Bula Raha Hai Mujhe Aasman Tumhaari Taraf in PDF.