Kaenat-e-gham Mein Zehn Ek KHala Hai

kaenat-e-gham mein zehn ek KHala hai

KHwab ka parinda jis mein aD raha hai

raat kaT gai hai subh ho gai hai

dil ko DhunDiye mat kab ka jal bujha hai

dard ke sahaare kab talak chalenge

sans ruk rahi hai fasla baDa hai

is jagah pe sab ne hath chhoD Dala

ye maqam shayad manzil-e-wafa hai

TuTte badan mein dil ajib shai hai

retili zamin mein phul khil raha hai

kyun hawa nai badlin mere munh ki baaten

main nai kuchh kaha hai us nai kuchh suna hai

teri kya ye haalat ho gai hai 'mamun'

KHud hi kah raha hai KHud hi sun raha hai

(291) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaenat-e-gham Mein Zehn Ek KHala Hai In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Kaenat-e-gham Mein Zehn Ek KHala Hai is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Kaenat-e-gham Mein Zehn Ek KHala Hai for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Kaenat-e-gham Mein Zehn Ek KHala Hai in PDF.