Ab Tak To Sare Gham Se Mere Be-KHabar Mile

ab tak to sare gham se mere be-KHabar mile

batlaun haal-e-dil jo koi chaaragar mile

lamhe husul-e-shauq ke bas is qadar mile

bhaTke hue ko rah mein jaise KHizar mile

un ke baghair kar na sake zindagi ba-KHair

ranj-o-alam ke sath to hum umr-bhar mile

dil tha kahin laga kahin aankhen bichhi huin

ye sare ehtimam teri rah par mile

karna hai taza phir mujhe afsana tur ka

ai kash meri un ki kahin par nazar mile

guzre hain aql-o-hosh-o-KHirad ki hudud se

hum hon kahin to tum ko hamari KHabar mile

'raazi' jhuke the husn-e-chaman par ki ek din

shiraaze gul ke bikhre hue KHak par mile

(371) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Tak To Sare Gham Se Mere Be-KHabar Mile In English By Famous Poet Khaleel Raazi. Ab Tak To Sare Gham Se Mere Be-KHabar Mile is written by Khaleel Raazi. Read famous Poem Ab Tak To Sare Gham Se Mere Be-KHabar Mile for youth and Student by Khaleel Raazi. Free Download Ab Tak To Sare Gham Se Mere Be-KHabar Mile in PDF.