BhaTak Raha Hun Ki Gir Kar Sambhal Raha Hun Main

bhaTak raha hun ki gir kar sambhal raha hun main

kisi tarah se to raste pe chal raha hun main

nawazishat ki had se nikal raha hun main

haTa le hath ki karwaT badal raha hun main

junun mein aql ki saudagari bhi ki main ne

nigah-e-naz se duniya badal raha hun main

hawa-e-gham se ghira hai charagh hasti ka

sambhaalna ki tere pas jal raha hun main

kisi bhi sanche mein qismat na Dhal saki ab tak

hazar soz-e-tapish se pighal raha hun main

wo aa chale wo abhi aae dekh lo 'raazi'

zara si der hai ruk jao chal raha hun main

(409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BhaTak Raha Hun Ki Gir Kar Sambhal Raha Hun Main In English By Famous Poet Khaleel Raazi. BhaTak Raha Hun Ki Gir Kar Sambhal Raha Hun Main is written by Khaleel Raazi. Read famous Poem BhaTak Raha Hun Ki Gir Kar Sambhal Raha Hun Main for youth and Student by Khaleel Raazi. Free Download BhaTak Raha Hun Ki Gir Kar Sambhal Raha Hun Main in PDF.