Kisi Ke Dast-e-inayat Ka Wo Diya Hun Main

kisi ke dast-e-inayat ka wo diya hun main

jala diya hai kisi ne sulag raha hun main

dayar-e-lutf mein aisa shikasta-pa hun main

lipaT ke kanTon se roe wo aabla hun main

mujhe meri hi riayat ne kar diya mahrum

pakaD pakaD ke jo daman ko chhoDta hun main

mujhi mein kaun KHata hai ki jo kisi mein nahin

ek aadmi hun yahi bas na aur kya hun main

thake hue hain mere hausle kahan chal ke

zara sa ruk ke yahan sans le raha hun main

sanam-kadon ki na paD jae har jagah buniyaad

jigar ke TukDe zamin par bikherta hun main

gaya to bhul gaya koi dard-e-zaKHm ka haal

wo kashmakash hai ki gham se lipaT raha hun main

(316) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Dast-e-inayat Ka Wo Diya Hun Main In English By Famous Poet Khaleel Raazi. Kisi Ke Dast-e-inayat Ka Wo Diya Hun Main is written by Khaleel Raazi. Read famous Poem Kisi Ke Dast-e-inayat Ka Wo Diya Hun Main for youth and Student by Khaleel Raazi. Free Download Kisi Ke Dast-e-inayat Ka Wo Diya Hun Main in PDF.