Aankhon Ke Aainon Mein Tawanai Aaegi

aankhon ke aainon mein tawanai aaegi

dekhega sabz khet to binai aaegi

paega KHushbuon se zaminon ke bhed bhi

ek roz tere kaam shanasai aaegi

peDon ki chhanw chhoD kisi aab-e-ju pe baiTh

tujh mein nahin to aks mein ranai aaegi

duniya ki sair kar ke nikhar jaega KHayal

taza hawa lagegi to danai aaegi

har naqsh aab-o-KHak ka dil mein utar le

fankar hai to taqat-e-goyai aaegi

shair ki tarah Dol raha hai KHalaon mein

logon mein baiTh anjuman-arai aaegi

andhon ke is nagar mein diye ki misal ban

sahra mein gul khulega to yaktai aaegi

shaffaf paniyon ki tarah zindagi guzar

suraj ki tarah tujh mein tawanai aaegi

ghar mein diya jala ki lage bolta hua

diwar-o-dar pe zinat-o-zebai aaegi

saya bhi tera tujh ko kahin chhoD jaega

aai bhi tere kaam to tanhai aaegi

garmi bahut hai aaj khula rakh makan ko

us ki gali se raat ko purwai aaegi

kafi hai jo ghazal ke liye kah liya 'KHalil'

aage qadam rakhega to gahrai aaegi

(317) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ke Aainon Mein Tawanai Aaegi In English By Famous Poet Khaleel Rampuri. Aankhon Ke Aainon Mein Tawanai Aaegi is written by Khaleel Rampuri. Read famous Poem Aankhon Ke Aainon Mein Tawanai Aaegi for youth and Student by Khaleel Rampuri. Free Download Aankhon Ke Aainon Mein Tawanai Aaegi in PDF.