Hara-bhara Tha Kabhi JhaD Sa Badan Mera

hara-bhara tha kabhi jhaD sa badan mera

ki aainon mein jhalakta tha bankpan mera

charagh le ke mujhe DhunDne nikalta tha

mere baghair na rahta tha ham-suKHan mera

siyahiyon ke bhanwar se nikal ke aaya hun

dhula rahi hai ujalon se munh kiran mera

siyah phul khila dhup ki munDeron par

hawa mein Tang diya kis ne pairahan mera

main reg-zar pe likkhi hui ibarat hun

hawa chalegi to uD jaega badan mera

bala rahi hai mujhe barf se Dhaki choTi

paDa hua hai chaTanon ke ghar kafan mera

shumar hone lage motiyon mein kankar bhi

'KHalil' kaam to aaya kisi ke fan mera

(453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hara-bhara Tha Kabhi JhaD Sa Badan Mera In English By Famous Poet Khaleel Rampuri. Hara-bhara Tha Kabhi JhaD Sa Badan Mera is written by Khaleel Rampuri. Read famous Poem Hara-bhara Tha Kabhi JhaD Sa Badan Mera for youth and Student by Khaleel Rampuri. Free Download Hara-bhara Tha Kabhi JhaD Sa Badan Mera in PDF.