Nam Is Allah Ke Bande Ka Bhi Ruswai Mein Hai

nam is allah ke bande ka bhi ruswai mein hai

jo samundar ki tarah se apni gahrai mein hai

shaKH se patta bhi uDta hai parinde ki tarah

zindagi ki koi chingari tamannai mein hai

dhup ka dariya umaD aata hai jab chaDhta hai din

koi aisi lahr kya us ki bhi angDai mein hai

jab hawaon mein aDega sab pata lag jaega

jhil nile aasman ki kitni gahrai mein hai

chhoD jati hai hawa bhi naqsh apne KHak par

sochta hun tu kahan par jalwa-arai mein hai

Dub jate hain manazir Dubte suraj ke sath

sach kaha karta tha wo bhai ki jaan bhai mein hai

lahlahati KHak ko dekha to kya dekha miyan

us ko dekha chahiye jo us ki ranai mein hai

koi darwaze ki dastak kan mein paDti nahin

but bana baiTha hun ghar mein dhyan shahnai mein hai

ghere rahta hai mujhe logon ki aawazon ka shor

wo akela dekh kar kahte hain tanhai mein hai

uDte tayyare ki khiDki se zara sa jhank le

itne hangamon-bhari duniya bhi tanhai mein hai

hum kisi shishe ko apne munh se patthar kyun kahen

jis ka jo kirdar hai wo us ki goyai mein hai

dosto kya puchhte ho haal is ke ganw ka

aaina lipTa hua talab ki kai mein hai

uTh rahi thin dur tak pani ki diwaren 'KHalil'

hum ye samjhe naqs koi apni binai mein hai

(487) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nam Is Allah Ke Bande Ka Bhi Ruswai Mein Hai In English By Famous Poet Khaleel Rampuri. Nam Is Allah Ke Bande Ka Bhi Ruswai Mein Hai is written by Khaleel Rampuri. Read famous Poem Nam Is Allah Ke Bande Ka Bhi Ruswai Mein Hai for youth and Student by Khaleel Rampuri. Free Download Nam Is Allah Ke Bande Ka Bhi Ruswai Mein Hai in PDF.