Naqsh Wo Aankh Mein Utra Tha Ki Jata Hi Na Tha

naqsh wo aankh mein utra tha ki jata hi na tha

main ne is dhup ko Dhalte kahin dekha hi na tha

ruh ki pyas bujhae na bujhegi kisi Dhang

mujh ko is dasht ki pahnai mein ugna hi na tha

pahle is ghar ki har ek khiDki khuli rahti thi

yun mila karte the jaise koi parda hi na tha

ab jo insan hawaon mein uDa phirta hai

ye kabhi peD ke sae se nikalta hi na tha

dauD paDta tha jahan ret se jalte the qadam

sath dariya tha magar Dar se utarta hi na tha

aisi sardi mein wahan ja ke kahan sustae

par naddi ke koi dhup ka KHema hi na tha

raat ka peD uga tha ki koi saya tha

kya kahun hath laga kar use dekha hi na tha

kitne aazad the barsat ke KHud-raw nale

apni duniya thi koi puchhne wala hi na tha

hadisa aisa bhi pesh aaega mar jaunga

KHwab aisa to kabhi umr mein dekha hi na tha

shairi ne mujhe insan banaya hai 'KHalil'

main wo shisha tha ki duniya se chamakta hi na tha

(387) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Naqsh Wo Aankh Mein Utra Tha Ki Jata Hi Na Tha In English By Famous Poet Khaleel Rampuri. Naqsh Wo Aankh Mein Utra Tha Ki Jata Hi Na Tha is written by Khaleel Rampuri. Read famous Poem Naqsh Wo Aankh Mein Utra Tha Ki Jata Hi Na Tha for youth and Student by Khaleel Rampuri. Free Download Naqsh Wo Aankh Mein Utra Tha Ki Jata Hi Na Tha in PDF.