Raat KhaDi Hai Sar Pe Sunahre Diyon Ka Thaal Liye

raat khaDi hai sar pe sunahre diyon ka thaal liye

ai man tu bhi umr bata de naqsh-e-KHayal liye

lamhe ye be-rang patange kab aate hain hath

sara sara din phirta hai suraj jal liye

phul-jhaDiyan si chhuT rahi hain sham ke daman mein

kaun khaDa hai narangi sa chehra lal liye

aaj samajh mein aaya apni aankhon ka mafhum

har insan hai surat par do zaKHm-e-malal liye

ujli chandni raat si aankhen ujla dhup sa mukh

hae re wo hirni si laDki shauq-e-visal liye

ghar walon se toD ke nata kis ne paya mujh ko

kahan phiroge shair sahab dast-e-sawal liye

gulzaron mein basne wale bhakkar des bhi dekh

thal ka registan bhi hai gudDi mein lal liye

aaj talak us aurat se aata hai KHauf 'KHalil'

ghar mein ek din ghus aai thi bikhre baal liye

(451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat KhaDi Hai Sar Pe Sunahre Diyon Ka Thaal Liye In English By Famous Poet Khaleel Rampuri. Raat KhaDi Hai Sar Pe Sunahre Diyon Ka Thaal Liye is written by Khaleel Rampuri. Read famous Poem Raat KhaDi Hai Sar Pe Sunahre Diyon Ka Thaal Liye for youth and Student by Khaleel Rampuri. Free Download Raat KhaDi Hai Sar Pe Sunahre Diyon Ka Thaal Liye in PDF.