Raushni Karne Aaya Tha Suraj

raushni karne aaya tha suraj

sae dekhe to Dhal gaya suraj

parda jab bhi haTaya khiDki se

mere kamre mein aa gaya suraj

aa gae hum chhaton se kamron mein

aur hamein DhunDhta phira suraj

chandni bhi udas lagti hai

mujh ko viran kar gaya suraj

raat ne baadban khol diya

apna saman le gaya suraj

sara din kan bajte rahte hain

har kiran hai teri sada suraj

ek main hi nahin hun duniya mein

tera sab se hai rabta suraj

koi diwar bhi nahin hail

tera darbar hai khula suraj

sans teri hai sab ke sinon mein

sab tujhi se hai silsila suraj

mera tera muqabla kaisa

main to hun ghar ka ek diya suraj

aaj ka din 'KHalil' kya guzra

aaj dil se utar gaya suraj

(410) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushni Karne Aaya Tha Suraj In English By Famous Poet Khaleel Rampuri. Raushni Karne Aaya Tha Suraj is written by Khaleel Rampuri. Read famous Poem Raushni Karne Aaya Tha Suraj for youth and Student by Khaleel Rampuri. Free Download Raushni Karne Aaya Tha Suraj in PDF.