Hasad Ki Aag Thi Aur Dagh Dagh Sina Tha

hasad ki aag thi aur dagh dagh sina tha

dilon se dhul na saka wo ghubar-e-kina tha

zara si Thes lagi thi ki chur chur hua

tere KHayal ka paikar bhi aabgina tha

rawan thi koi talab si lahu ke dariya mein

ki mauj mauj bhanwar umr ka safina tha

wo jaanta tha magar phir bhi be-KHabar hi raha

ajib taur tha us ka ajab qarina tha

bahut qarib se guzre magar KHabar na hui

ki ujDe shahr ki diwar mein dafina tha

(565) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasad Ki Aag Thi Aur Dagh Dagh Sina Tha In English By Famous Poet Khaleel Tanveer. Hasad Ki Aag Thi Aur Dagh Dagh Sina Tha is written by Khaleel Tanveer. Read famous Poem Hasad Ki Aag Thi Aur Dagh Dagh Sina Tha for youth and Student by Khaleel Tanveer. Free Download Hasad Ki Aag Thi Aur Dagh Dagh Sina Tha in PDF.