Dil Bhar Aae To Samundar Nahin Dekhe Jate

dil bhar aae to samundar nahin dekhe jate

aks pani mein utar kar nahin dekhe jate

dekh ai sust-rawi hum se kinara kar le

har qadam rah ke patthar nahin dekhe jate

wo chahak ho ki mahak ek hi ruKH uDti hai

bar-sar-e-dosh-e-hawa par nahin dekhe jate

dekh ai sada-dil o sada-ruKH o sada-jamal

har jagah ye zar-o-zewar nahin dekhe jate

apne hathon mein lakiron ke siwa kuchh bhi nahin

dard-mandon ke muqaddar nahin dekhe jate

sar-girafton ke liye ghar bhi qafas hain 'KHalid'

himmat ai KHira-saro sar nahin dekhe jate

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Bhar Aae To Samundar Nahin Dekhe Jate In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Dil Bhar Aae To Samundar Nahin Dekhe Jate is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Dil Bhar Aae To Samundar Nahin Dekhe Jate for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Dil Bhar Aae To Samundar Nahin Dekhe Jate in PDF.