Ek Gam Sar-e-rah-e-sipah Aai Na Duniya

ek gam sar-e-rah-e-sipah aai na duniya

daryuza-e-uqba tha so ras aai na duniya

mahrum rahi sohbat-e-mardan-e-raza se

kis husn ki dahshat thi ki pas aai na duniya

nachi hai barahna sar-e-bazar hamesha

ek bar tah-e-tar-e-libas aai na duniya

ai randa-e-duniya tujhe kya gham ki mujh aise

parwarda-e-duniya ko bhi ras aai na duniya

'KHalid' ufuq-e-KHak raha rang mein ghaltan

mujh tak kabhi le kar teri bas aai na duniya

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Gam Sar-e-rah-e-sipah Aai Na Duniya In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Ek Gam Sar-e-rah-e-sipah Aai Na Duniya is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Ek Gam Sar-e-rah-e-sipah Aai Na Duniya for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Ek Gam Sar-e-rah-e-sipah Aai Na Duniya in PDF.