Rang Sa Phirta Hai Zer-e-asman Dekha Hua

rang sa phirta hai zer-e-asman dekha hua

ru-ba-ru ek aks hai jaane kahan dekha hua

kis ke hone ki KHabar dete hain ye diwar-o-dar

jaane kyun lagta hai mujh ko ye makan dekha hua

ek gharaunda haule haule ghul raha hai aaj bhi

ek manzar hai tah-e-ab-e-rawan dekha hua

main to pahli bar aaya tha tumhaare shahr mein

na-gahan mujh ko laga shahr-e-guman dekha hua

ek mahak ban kar nazar uThti hai meri chaar-su

main to pahron dekhta hun ye jahan dekha hua

har ghaDi paya naya dhaDka purane rang ka

aag an-dekhi lagi uTTha dhuan dekha hua

din nikalte hi gharon se chal paDe tesha-ba-kaf

suraj ubhra hai ki ek koh-e-giran dekha hua

mand rah jaegi is shab aansuon ki aab bhi

chand phir nikla pas-e-diwar-e-jaan dekha hua

aasman tha ya shikasta chhat andheri qabr ki

raat bhar dekha kiya main aasman dekha hua

sath chalta hai kinare par kinaron ki tarah

kya kahun 'KHalid' ki hai ye mehrban dekha hua

(420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang Sa Phirta Hai Zer-e-asman Dekha Hua In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Rang Sa Phirta Hai Zer-e-asman Dekha Hua is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Rang Sa Phirta Hai Zer-e-asman Dekha Hua for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Rang Sa Phirta Hai Zer-e-asman Dekha Hua in PDF.