Sahra Mein Diwar Banana Jaane Kaisa Ho

sahra mein diwar banana jaane kaisa ho

aur phir is se sar Takrana jaane kaisa ho

ye raste jo hum ne pag pag aap bikhere hain

in raston se lauT ke jaana jaane kaisa ho

jis ki poren dil ki ek ek dhaDkan ginti hain

jis ko hum ne KHud gardana jaane kaisa ho

us ke samne hum kya jaanen dil par kya guzre

nam tak apna yaad na aana jaane kaisa ho

us ki nigah mein aana koi chhoTi baat nahin

us ke dil mein rah bhi pana jaane kaisa ho

hum kya jaanen par lagen ya aar rahen 'KHalid'

rah gum-karda mar-khap jaana jaane kaisa ho

(508) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Mein Diwar Banana Jaane Kaisa Ho In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Sahra Mein Diwar Banana Jaane Kaisa Ho is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Sahra Mein Diwar Banana Jaane Kaisa Ho for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Sahra Mein Diwar Banana Jaane Kaisa Ho in PDF.