Sitam-taraaz Talak ZaKHm-ashna Bhi To Ho

sitam-taraaz talak zaKHm-ashna bhi to ho

ufuq ufuq shafaq-e-dard ki hina bhi to ho

KHala-ba-pa hun magar dasht dasht KHak-ba-sar

kuchh apna aap miTane ki intiha bhi to ho

main KHak ban ke faza mein bikhar bikhar jaun

kisi ke panw tale zina-e-saba bhi to ho

hawas ki barf badan se pighal to jae magar

sharar sharar koi paikar kabhi chhua bhi to ho

nazar nazar mein hazaron sawal hain lekin

falak se koi meri samt dekhta bhi to ho

nai ghaDi nae sahra nae ufuq lai

kisi tarah haq-e-ashuftagi ada bhi to ho

barahnagi mera mazhab mera suluk bane

magar badan pe kisi qadr ki rida bhi to ho

meri wafaon ki gahraiyon ka khoj to le

wo bahr-e-husn kabhi zarf-azma bhi to ho

faqat bayan-e-haqiqat nahin hai manzil-e-haq

jihat-shanas wo hai jo jihat-numa bhi to ho

tere siwa bhi kisi ko kahun nadim magar

tere siwa koi shaista-wafa bhi to ho

(399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitam-taraaz Talak ZaKHm-ashna Bhi To Ho In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Sitam-taraaz Talak ZaKHm-ashna Bhi To Ho is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Sitam-taraaz Talak ZaKHm-ashna Bhi To Ho for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Sitam-taraaz Talak ZaKHm-ashna Bhi To Ho in PDF.