Musafir Raste Mein Hai Abhi Tak

musafir raste mein hai abhi tak

nahin pahuncha ujala tirgi tak

gulon mein chand khilne ke ye din hain

magar khilti nahin hai ek kali tak

zara sa dard aur itni dawaen

pasand aai nahin chaaragari tak

barahna jism par do-chaar dhabbe

tamasha dekhte hain ajnabi tak

wo aisi qimti shai bhi nahin thi

luTi to yaad aati hai abhi tak

likha KHanjar se tera nam dil par

hamein aati nahin diwangi tak

use taswir karne ki lagan mein

'ibaadi' bhul baiThe KHud-kushi tak

(441) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musafir Raste Mein Hai Abhi Tak In English By Famous Poet Khalid Ebadi. Musafir Raste Mein Hai Abhi Tak is written by Khalid Ebadi. Read famous Poem Musafir Raste Mein Hai Abhi Tak for youth and Student by Khalid Ebadi. Free Download Musafir Raste Mein Hai Abhi Tak in PDF.