Suna Hai Is Taraf Ka RuKH Karenge

suna hai is taraf ka ruKH karenge

tere dushman meri jaanib baDhenge

kisi se kuchh na puchha kuchh na jaana

ye dhabbe KHun ke kaise dhulenge

bahut hain chaar din ye zindagi ke

kabhi ran mein kabhi ghar mein rahenge

masihaon ko ab zahmat na hogi

hum un ke aate aate mar chukenge

kahan jate hain ghabrae hue log

ki sahra mein to diwane rahenge

abhi marne ki jaldi hai 'ibaadi'

agar zinda rahe to phir milenge

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suna Hai Is Taraf Ka RuKH Karenge In English By Famous Poet Khalid Ebadi. Suna Hai Is Taraf Ka RuKH Karenge is written by Khalid Ebadi. Read famous Poem Suna Hai Is Taraf Ka RuKH Karenge for youth and Student by Khalid Ebadi. Free Download Suna Hai Is Taraf Ka RuKH Karenge in PDF.