Aadmi Bhi Aadmi Ka Raazdan Hota Nahin

aadmi bhi aadmi ka raazdan hota nahin

be KHabar rahta hai lekin bad-guman hota nahin

zahmaten yaksan makan-o-la-makan se kya hua

kya KHalaon se pare bhi aasman hota nahin

hum ki KHud rah-raw bhi hain rahbar bhi hain rahzan bhi hain

wan pahunchte hain jahan par karwan hota nahin

baDh gae iKHwan-e-yusuf se ye iKHwanus-safa

phenk dete hain wahan jis ja kuan hota nahin

hai jarahat-afrin darman-e-dard-e-la-dawa

shoala karta hai sharar-bari dhuan hota nahin

husn-e-be-parda harif-e-tab-e-nazzara nahin

ho nazar ke samne lekin ayan hota nahin

marg-e-be-hangam apne shahr ka mamul hai

log mar jate hain koi nauha-KHwan hota nahin

jo bhi ho jis haal mein hai zindagi us ko aziz

jaan-e-jaan kahne se kuchh jaan-e-jahan hota nahin

be-ada-kari bhi KHamoshi se mar jate hain log

yan pe koi khel mirza saheban hota nahin

(348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aadmi Bhi Aadmi Ka Raazdan Hota Nahin In English By Famous Poet Khalid Hasan Qadiri. Aadmi Bhi Aadmi Ka Raazdan Hota Nahin is written by Khalid Hasan Qadiri. Read famous Poem Aadmi Bhi Aadmi Ka Raazdan Hota Nahin for youth and Student by Khalid Hasan Qadiri. Free Download Aadmi Bhi Aadmi Ka Raazdan Hota Nahin in PDF.