Buton Se Kuchh Na Hua Jo Hua KHuda Se Hua
buton se kuchh na hua jo hua KHuda se hua
dawa se kuchh na bana jo hua dua se hua
bharam daraazi-e-daman-e-yar ka na raha
ajib kaam mere dast-e-na-rasa se hua
dilon ko sabr-o-sukun to na mil saka lekin
koi to kaam teri chashm-e-ba-haya se hua
laga di aag si jangal mein nab-karon ke
ye faeda to meri aatishin-nawa se hua
dilon ko ishq ne baKHshi hayat-e-gham-afza
ajab nishana KHata tir-e-be-KHata se hua
qalandaron ne ulaT di bisat-e-mai-KHana
na rind se hua aur kuchh na parsa se hua
muKHalifon ki bhi jo dushmani se ho na saka
wo kaam ek mere dam-saz-o-ashna se hua
na kuchh bhi kar sake ashab-e-fil the to bahut
jo kuchh hua tere darwesh-e-be-nawa se hua
ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi
na raushni se hua kuchh na kuchh hawa se hua
wo ek qatl ka ilzam sar pe tha so raha
qisas se na hua kuchh na KHun-baha se hua
(349) Peoples Rate This