Fasana-e-gham-e-dil MuKHtasar Nahin Hota

fasana-e-gham-e-dil muKHtasar nahin hota

ab us gali se hamara guzar nahin hota

hazar aise ki phirte hain jo KHalaon mein

magar ek hum ki watan mein safar nahin hota

jise masil samajhte ho be-misal hai wo

jo ek bar ho bar-e-digar nahin hota

KHud apna sath bhi hum ko giran guzarta hai

safar wahi hai jahan ham-safar nahin hota

amir us ka lahu pi raha hai barson se

magar gharib pe koi asar nahin hota

KHala se guzre hain mirriKH par bhi pahunche hain

magar kisi ka falak par guzar nahin hota

(312) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasana-e-gham-e-dil MuKHtasar Nahin Hota In English By Famous Poet Khalid Hasan Qadiri. Fasana-e-gham-e-dil MuKHtasar Nahin Hota is written by Khalid Hasan Qadiri. Read famous Poem Fasana-e-gham-e-dil MuKHtasar Nahin Hota for youth and Student by Khalid Hasan Qadiri. Free Download Fasana-e-gham-e-dil MuKHtasar Nahin Hota in PDF.