Kabhi Na Aasuda-e-amal Ho Magar Irada Bhi Kam Nahin Hai

kabhi na aasuda-e-amal ho magar irada bhi kam nahin hai

aur is irade ka unchi aawaz mein iada bhi kam nahin hai

shahanshah-e-waqt aur darbari apne sud o ziyan se waqif

sarir-ara-e-saltanat koi KHanwada bhi kam nahin hai

asa-e-farman-rawai jadu jagae jis taur bhi rawa hai

rumuz-e-asrar-e-hukmarani mein shahzada bhi kam nahin hai

koi rakhe be-jahat safar mein masafaton ka hisab kaise

ki tausan-e-be-zamam ko be-nishan jada bhi kam nahin hai

yahi bahut hai kisi tarah se bharam hi rah jae pesh duniya

agar mayassar nahin hai baada KHayal-e-baada bhi kam nahin hai

mujh aise uftad-gan ki Dhaaras na jaane kaise bandhi hui hai

pahaD si umr kaTne ko ye zehn-e-sada bhi kam nahin hai

kisi ka khoTa nasib 'yasir' kise KHabar kis ghaDi khara ho

julus-e-shahi ke sath ek be-zaban piyaada bhi kam nahin hai

(422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Na Aasuda-e-amal Ho Magar Irada Bhi Kam Nahin Hai In English By Famous Poet Khalid Iqbal Yasir. Kabhi Na Aasuda-e-amal Ho Magar Irada Bhi Kam Nahin Hai is written by Khalid Iqbal Yasir. Read famous Poem Kabhi Na Aasuda-e-amal Ho Magar Irada Bhi Kam Nahin Hai for youth and Student by Khalid Iqbal Yasir. Free Download Kabhi Na Aasuda-e-amal Ho Magar Irada Bhi Kam Nahin Hai in PDF.