Koi Pahle To Koi Baad Mein Ayyar Hua

koi pahle to koi baad mein ayyar hua

apni KHwahish pe jo wabasta-e-darbar hua

ek tahi-jeb ki zari koi sunta kaise

raij aise hi nahin sikka-e-dinar hua

baat sultan se kya taKHliye mein us ki hui

maslahat-kesh batane pe na tayyar hua

muKHbiri meri hui chashm-e-zadan mein kaisi

qasr-e-dil hi mein sara tha ki mismar hua

rah mein aae hue shana-e-kohsar ke sath

abr Takra ke jo palTa to guhar-bar hawa

apni haq-goi ke ba-wasf nigun-sari par

dosh par apne mera sar hi mujhe bar hua

han ye mumkin hai magar itna zaruri bhi nahin

jo koi pyar mein haara wahi fankar hua

ek nazar us ne uchaTti hui ki thi 'yasir'

aur phir shahr mein rahna mujhe dushwar hua

(393) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Pahle To Koi Baad Mein Ayyar Hua In English By Famous Poet Khalid Iqbal Yasir. Koi Pahle To Koi Baad Mein Ayyar Hua is written by Khalid Iqbal Yasir. Read famous Poem Koi Pahle To Koi Baad Mein Ayyar Hua for youth and Student by Khalid Iqbal Yasir. Free Download Koi Pahle To Koi Baad Mein Ayyar Hua in PDF.