Pala Hun Nafrat Ki Aandhiyon Mein Magar Mohabbat Se Munh Na MoDun

pala hun nafrat ki aandhiyon mein magar mohabbat se munh na moDun

hamesha bazu kushada rakhkhun kabhi murawwat se munh na moDun

zamane bhar ki tamam talKHi ho chahe mere lahu mein shamil

purani nakaamiyon se Dar ke nai shararat se munh na moDun

jabin pe nagah paDne wali shikan agar mustaqil hui hai

to zer-e-lab muskuraate rahne ki achchhi aadat se munh na moDun

bura bhala wasta bahar-taur us se kuchh der to raha hai

kahin sar-e-rah samna ho to itni shiddat se munh na moDun

jo dar pe aa hi gai hai 'yasir' to mujh pe lazim hai KHair-maqdam

hazar be-dil sahi par is khurduri haqiqat se munh na moDun

(391) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Pala Hun Nafrat Ki Aandhiyon Mein Magar Mohabbat Se Munh Na MoDun In English By Famous Poet Khalid Iqbal Yasir. Pala Hun Nafrat Ki Aandhiyon Mein Magar Mohabbat Se Munh Na MoDun is written by Khalid Iqbal Yasir. Read famous Poem Pala Hun Nafrat Ki Aandhiyon Mein Magar Mohabbat Se Munh Na MoDun for youth and Student by Khalid Iqbal Yasir. Free Download Pala Hun Nafrat Ki Aandhiyon Mein Magar Mohabbat Se Munh Na MoDun in PDF.