Shah-e-alam Ko Sar-e-am Suna BaiTha Hun

shah-e-alam ko sar-e-am suna baiTha hun

mere maula teri chaukhaT se laga baiTha hun

mujhe malum hain aadab-e-nashist-o-barKHast

tere darbar mein ek umr uTha baiTha hun

isi mausam ki tamanna thi kai barson se

baadban kholne the aur gira baiTha hun

bhul jaana tha jise sabt hai dil par mere

yaad rakhna tha jise us ko bhula baiTha hun

baat kaise main karun aankh mila kar us se

samne jis ke nigahon ko jhuka baiTha hun

wapsi ka koi rasta nahin milta 'yasir'

kashtiyan apni main pahle hi jala baiTha hun

(510) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shah-e-alam Ko Sar-e-am Suna BaiTha Hun In English By Famous Poet Khalid Iqbal Yasir. Shah-e-alam Ko Sar-e-am Suna BaiTha Hun is written by Khalid Iqbal Yasir. Read famous Poem Shah-e-alam Ko Sar-e-am Suna BaiTha Hun for youth and Student by Khalid Iqbal Yasir. Free Download Shah-e-alam Ko Sar-e-am Suna BaiTha Hun in PDF.