Zamane Ke Darbar Mein Dast-basta Hua Hai

zamane ke darbar mein dast-basta hua hai

ye dil us pe mail magar rafta rafta hua hai

achanak hi hathiyar wale nahin saKHt-jaan ne

jigar waqt ke sath KHasta shikasta hua hai

kahin andar andar sulagti thi chingari koi

magar hadsa aaKHir-e-kar sham-e-guzishta hua hai

kai bar jallad ne khinch dekha hai us ko

magar munjamid dar ka sard taKHta hua hai

KHabar-dar rahne laga shahryar us se 'yasir'

qalam mere hathon mein KHanjar ka dasta hua hai

(376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamane Ke Darbar Mein Dast-basta Hua Hai In English By Famous Poet Khalid Iqbal Yasir. Zamane Ke Darbar Mein Dast-basta Hua Hai is written by Khalid Iqbal Yasir. Read famous Poem Zamane Ke Darbar Mein Dast-basta Hua Hai for youth and Student by Khalid Iqbal Yasir. Free Download Zamane Ke Darbar Mein Dast-basta Hua Hai in PDF.