Duaon Ki Zarurat Hai Dawa Mein Kuchh Nahin Rakkha

duaon ki zarurat hai dawa mein kuchh nahin rakkha

chachi mein jaan baqi hai chacha mein kuchh nahin rakkha

gareban ke baTan sar ka dupaTTa aankh ka parda

tumhaari artificial haya mein kuchh nahin rakkha

rabar ke dastaKHat patthar ke afsar mom ke kaghaz

jab andar se TaTola nadira mein kuchh nahin rakkha

jo tum parfum mein Dupki laga kar roz aati ho

faza tum se moattar hai hawa mein kuchh nahin rakkha

mohalle mein unhen kahte hain sab sharrunnisa-begam

to ye sabit hua KHairunnisa mein kuchh nahin rakkha

mrs iqbaal pani mang ke piti hain shauhar se

phir is ke baad kahti hain piya mein kuchh nahin rakkha

mohabbat se jo KHali ho wo dil be-kar hota hai

KHala mein jaiye bait-ul-KHala mein kuchh nahin rakkha

wo make-up ke sahaare ban gai filmon ki heroine

na ho naz-o-ada to naziya mein kuchh nahin rakkha

hamari nasl ke KHali kanastar ye batate hain

talo mein kuchh nahin hai DalDa mein kuchh nahin rakkha

to ye noTon ki KHushbu kaun si pocket se aai hai

main kaise man lun band-e-qaba mein kuchh nahin rakkha

(467) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duaon Ki Zarurat Hai Dawa Mein Kuchh Nahin Rakkha In English By Famous Poet Khalid Irfan. Duaon Ki Zarurat Hai Dawa Mein Kuchh Nahin Rakkha is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Duaon Ki Zarurat Hai Dawa Mein Kuchh Nahin Rakkha for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Duaon Ki Zarurat Hai Dawa Mein Kuchh Nahin Rakkha in PDF.