Garmi Jo Aai Ghar Ka Hawa-dan Khul Gaya

garmi jo aai ghar ka hawa-dan khul gaya

sahil pe jab gaya to har insan khul gaya

pahle to long-march ke haq mein diya bayan

phir 'qadri' ko dekh ke 'imrran' khul gaya

ek maulwi ki aankh mein binai aa gai

jab rail mein kisi ka gareban khul gaya

tum nashte ki mez pe baiThi ho is tarah

yun lag raha hai jaise namak-dan khul gaya

do chaar din se meri samaat block thi

tum ne ghazal paDhi to mera kan khul gaya

lauTe wo jab safar se kanizon ne ye kaha

bhago janab-e-shaiKH ka saman khul gaya

mere KHutut paDh ke wo roti hai is tarah

lagta hai 'mir-anis' ka diwan khul gaya

mere ishaiye ka tha Time isha ke baad

aaghaz-e-guftugu mein hi mehman khul gaya

bazm-e-suKHan mein puri musaddas unDel kar

had se ziyaada 'KHalid'-e-irfan khul gaya

(429) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garmi Jo Aai Ghar Ka Hawa-dan Khul Gaya In English By Famous Poet Khalid Irfan. Garmi Jo Aai Ghar Ka Hawa-dan Khul Gaya is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Garmi Jo Aai Ghar Ka Hawa-dan Khul Gaya for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Garmi Jo Aai Ghar Ka Hawa-dan Khul Gaya in PDF.