Gulshan-e-ishq Mein Ghuncha Bhi Kali Hota Hai

gulshan-e-ishq mein ghuncha bhi kali hota hai

nam aashiq ka bhi mashuq-ali hota hai

KHan kahta hai wahan mun-gphali hota hai

phul hoti hai pishawar mein kali hota hai

jab wo paDhti hai tarannum se ghazal ka matla

us ki aankhon mein bhi ita-e-jali hota hai

ek biwi pe jo karta hai qanaat ta-umr

wo to shauhar nahin hota hai wali hota hai

sas ne aaj khilai hai jalebi mujh ko

nim ka peD bhi misri ki Dali hota hai

marshall-law ka main hami to nahin hun lekin

daur-e-jamhur bhi ab band gali hota hai

jis ke lahje mein ho shaistagi-e-tanz-e-latif

aisa shaer hi zarif-e-azali hota hai

(425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulshan-e-ishq Mein Ghuncha Bhi Kali Hota Hai In English By Famous Poet Khalid Irfan. Gulshan-e-ishq Mein Ghuncha Bhi Kali Hota Hai is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Gulshan-e-ishq Mein Ghuncha Bhi Kali Hota Hai for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Gulshan-e-ishq Mein Ghuncha Bhi Kali Hota Hai in PDF.