Jism Par Sabun Tha Pani Ghusl-KHane Se Gaya

jism par sabun tha pani ghusl-KHane se gaya

aap ki mistake Thahri main nahane se gaya

ek minister ne sajai mahfil-e-raqs-o-surur

nachne wali ka bil qaumi KHazane se gaya

qadri ne DanT kuchh aisi pilai sher ko

sher muslim-league ka tha dum hilane se gaya

aa gaya tha ek shaer dost pakistan se

chae se Thahra raha whiskey pilane se gaya

film taqsim-e-wirasat ka yahi the-end hai

dard kuchh aisa tha jo gardan dabane se gaya

ek gharib ustad ki tuition Thikane lag gai

majida dulhan bani teacher paDhane se gaya

us ke galon par kai dast-e-hinai sabt hain

ishq ka nashsha tha aaKHir mar khane se gaya

itni mahngai hai biryani koi lata nahin

phir koi bhuka mujawar aastane se gaya

us ki mayyat mein sabhi aKHbar paDh paDh kar gae

'KHalid'-e-irfan shaer tha bulane se gaya

(583) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism Par Sabun Tha Pani Ghusl-KHane Se Gaya In English By Famous Poet Khalid Irfan. Jism Par Sabun Tha Pani Ghusl-KHane Se Gaya is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Jism Par Sabun Tha Pani Ghusl-KHane Se Gaya for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Jism Par Sabun Tha Pani Ghusl-KHane Se Gaya in PDF.