Kaghaz Ki PaleTon Mein Khane Ka Taqaza Hai

kaghaz ki paleTon mein khane ka taqaza hai

haalat ke shane pe culture ka janaza hai

milne ki guzarish par mubham sa jawab aaya

chunki hai chunanche hai garche hai lihaza hai

ab ghar ke dariche mein aaegi hawa kaise

aage bhi plaza hai pichhe bhi plaza hai

tum aqd-e-musalsal se dada ko nahin roko

shadi ki zarurat to fitrat ka taqaza hai

daulat ka zara sa bhi izzat se nahin rishta

allah ne leader ko daulat se nawaza hai

mear-e-imarat se sheron ko nahin napo

roTi meri basi hai lahja mera taza hai

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaghaz Ki PaleTon Mein Khane Ka Taqaza Hai In English By Famous Poet Khalid Irfan. Kaghaz Ki PaleTon Mein Khane Ka Taqaza Hai is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Kaghaz Ki PaleTon Mein Khane Ka Taqaza Hai for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Kaghaz Ki PaleTon Mein Khane Ka Taqaza Hai in PDF.