Kaisa Ajib Aaya Hai Is Sal Ka BajaT

kaisa ajib aaya hai is sal ka bajaT

murghi ka jo bajaT hai wahi dal ka bajaT

jitni hai ek clerk ki tanKHwah aaj kal

utna hai begamat ke ek gal ka bajaT

sirf ek din mein bis musafir hue halak

hazir hai sain gulshan-e-iqbaal ka bajaT

Tw ka ye mazaq adibon ke sath hai

shaer se dugna rakh diya qawwal ka bajaT

bichhDe the jab ye log mahina tha june ka

sohni bana rahi thi mahinwal ka bajaT

damad ko nikal ke jab bhi hua hai pesh

salon ne pas kar diya sasural ka bajaT

bikti hai ab kitab bhi cassette ke rate pe

kaise banega 'ghaalib' o 'iqbaal' ka bajaT

man kah rahi thi rang lipstick ke dekh kar

chaT kar diya bahu ne mere lal ka bajaT

donon bane hain bais-e-taklif aaj-kal

'ishaq'-Dar aur nae sal ka bajaT

(377) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisa Ajib Aaya Hai Is Sal Ka BajaT In English By Famous Poet Khalid Irfan. Kaisa Ajib Aaya Hai Is Sal Ka BajaT is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Kaisa Ajib Aaya Hai Is Sal Ka BajaT for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Kaisa Ajib Aaya Hai Is Sal Ka BajaT in PDF.