Kal Hum Ghurur-e-fan Ki Rawani Mein Phans Gae

kal hum ghurur-e-fan ki rawani mein phans gae

ula likha tha misra-e-sani mein phans gae

bach ke nikal gae jo reaya ko bech kar

bad-qismati se bijli o pani mein phans gae

likkhi thin us ke jism pe aisi ibaraten

hum is ghazal ke lafz o maani mein phans gae

majbur ho ke dene lage hijraton ka nam

jab bhi buzurg naql-e-makani mein phans gae

aaKHir mein film-saz heroine ko le gaya

jitne the film-bin kahani mein phans gae

har sal naunihaal ki aamad gawah hai

hum ishq ki yaqin-dahani mein phans gae

urdu ke imtihan mein cheating ke bawajud

'haali' pe note likh diya 'fani' mein phans gae

hum ne to KHud qubul kaha tha KHushi KHushi

ab tak hai gham ki ain-jawani mein phans gae

chacha ko mil gai thin chachi mal-dar si

mamun tamam umr mamani mein phans gae

jo ashk banTte the bane 'mir' o 'josh' o 'faiz'

hum lafz ki shagufta-bayani mein phans gae

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Hum Ghurur-e-fan Ki Rawani Mein Phans Gae In English By Famous Poet Khalid Irfan. Kal Hum Ghurur-e-fan Ki Rawani Mein Phans Gae is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Kal Hum Ghurur-e-fan Ki Rawani Mein Phans Gae for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Kal Hum Ghurur-e-fan Ki Rawani Mein Phans Gae in PDF.