Main Corruption Ki Fazilat Ko Kahan Samjha Tha
main corruption ki fazilat ko kahan samjha tha
bahr-e-zulmat ko chhoTa sa kuan samjha tha
phir bajaT us ne giraya hai hathauDe ki tarah
wo hukumat ko bhi lohe ki dukan samjha tha
taj-mahalon ki jagah tum ne banain qabren
leadaro hum ne tumhein shah-jahan samjha tha
khiDkiyan toD gaya wo sabhi jate jate
mere dil ko jo kirae ka makan samjha tha
paenche jeans ke TaKHnon se bahut upar the
main surayya ko surayya ka miyan samjha tha
man ne beTi se kaha teri KHata hai is mein
tu ne sasural mein kyun sas ko man samjha tha
yun buDhape mein na tum chhoD ke wapas jao
biwiyo tum ne kabhi mujh ko miyan samjha tha
(1490) Peoples Rate This