Main To Ahl Hun Kisi Aur Ka Meri Ahliya Koi Aur Hai

main to ahl hun kisi aur ka meri ahliya koi aur hai

main radif-e-misra-e-ishq hun mera qafiya koi aur hai

jo lughat ko toD-maroD de jo ghazal ko nasr se joD de

main wo bad-mazaq-e-suKHan nahin wo jadidiya koi aur hai

mujhe apne sher ke sariqon se koi gila to nahin magar

jo kitab chhap ke kha gaya wo faraDiya koi aur hai

main tera Cousin tu meri Cousin karen raqs phir sar-e-anjuman

na tera chacha koi aur hai na mera chacha koi aur hai

wo suhag-raat jahez mein sag-e-paltu bhi le aai thi

jo sahar hui to pata chala yahan tisra koi aur hai

hai meri ghazal ka bharam abhi mere narKHare mein hai dam abhi

main jawab-e-shaer-e-asr hun mera TeTua koi aur hai

kisi tajrabe ki talash mein mera aqd-e-sanawi ho gaya

meri ahliya ko KHabar nahin meri ahliya koi aur hai

(947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main To Ahl Hun Kisi Aur Ka Meri Ahliya Koi Aur Hai In English By Famous Poet Khalid Irfan. Main To Ahl Hun Kisi Aur Ka Meri Ahliya Koi Aur Hai is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Main To Ahl Hun Kisi Aur Ka Meri Ahliya Koi Aur Hai for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Main To Ahl Hun Kisi Aur Ka Meri Ahliya Koi Aur Hai in PDF.