Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai

miyan-e-hind-o-pakistan ek sarhad ka jhagDa hai

wagarna is imarat ke manare ek jaise hain

karachi ka kitchen ho ya wo dakkan ki rasoi ho

namak ka farq hai baigan baghaare ek jaise hain

pajamon ke design ko badal Dala to kya gham hai

hamari biwiyon ke to gharare ek jaise hain

pareshan-haal hai public magar donon mamalik ke

mirasi cricketer filmi-sitare ek jaise hain

kunware log to har mulk mein aazad phirte hain

magar shadi-shuda qismat ke mare ek jaise hain

barae-aqd-KHwani qaziyon mein farq hai lekin

karachi aur dilli ke chuware ek jaise hain

kunwara aadmi ho ya koi aazad leader ho

jo be-pende ke lauTe hain wo sare ek jaise hain

nikamme rahnuma aur aql se paidal siyasat-dan

hamare ek jaise hain tumhaare ek jaise hain

yahan ka 'KHalid-e-irfan' wahan ke 'rahat-indori'

nire shair hain donon ke sitare ek jaise hain

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai In English By Famous Poet Khalid Irfan. Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai in PDF.