Naujawan Log Pajame Ko Bura Kahte Hain

naujawan log pajame ko bura kahte hain

painT phaT jae to qismat ka likha kahte hain

apne ashaar mein juma ko juma kahte hain

aise ustad ko faKHrushshuara kahte hain

nazm ko gift rubai ko ata kahte hain

sher wo KHud nahin kahte hain chacha kahte hain

i-m-f ko samajhte hain maishat ka ilaj

log al-kuhl ko khansi ki dawa kahte hain

ye to chalti nahin p-m ki ijazat ke baghair

is ko aiwan-e-sadarat ki hawa kahte hain

jaane kab is mein hamein aag lagani paD jae

hum siyasat ke janaze ko chita kahte hain

jab se bachchon ko pasand aai hain hindi filmen

mujh ko abba nahin kahte wo pita kahte hain

meri bari pe hukumat hi badal jati hai

ab wazarat ko ghubare ki hawa kahte hain

load-shedding ki shikayat pe dolatti mare

log bijli ke minister ko gadha kahte hain

bhuk taKHliq ka talent baDha deti hai

peT KHali ho to hum sher naya kahte hain

(355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naujawan Log Pajame Ko Bura Kahte Hain In English By Famous Poet Khalid Irfan. Naujawan Log Pajame Ko Bura Kahte Hain is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Naujawan Log Pajame Ko Bura Kahte Hain for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Naujawan Log Pajame Ko Bura Kahte Hain in PDF.